किसी को भी Free में Call करो, आपका Mobile Number नहीं दिखाई देगा.

Rajendra Kumar Verma
1
किसी को भी Free में Call करो, आपका Mobile Number नहीं दिखाई देगा....

Hello Dosto..

               Aaj ki yah Post sirf aur Sirf Hindi me likhi gai hai kyunki yah post sirf India walo ke liye hi hai. Aaj is post me jo mai aapko bataane ja rha hu vah sirf India wale hi kar sakte hai. Jis App ke baare me bataunga is post me vah App sirf India me hi kaam karti hai isliye maine socha kyu na aaj ki yah post pure Hindi language me hi likhi jae...

To aaj ki is post me hum sikhenge ki "How to hide mobile number during call" Ya fir ise hum "Prank Call" bhi keh sakte hai. Aage badhne se pahle main apko bahut bahut thanks kehna chahunga kyuki last post me aapke is Sadupayog Best Hindi Blog ne ek MileStone khada kiya hai. Ab main aapko jyada jyada confuse nahi karunga mai aapko sidhe sidhe bata deta hu ki aapke pyaar aur aashirwaad se Sadupayog Best Hindi Blog ko pichhle 1 year mein 5,00,000 (5 lac) visitors ne visit kiya hai jo ki bahut badi bat hai. Yah sab aapke aashirwaad aur pyar ke bina nahi ho sakta tha

Chaliye Ham Us App Ke Bare Batete Hai Dhayn De..

Iske liye sabse pahle yah jaan lena chahiye ki yadi aap apne mobile number ko during the call hide karna chahte hai to aapke pass Android Smart Phone ya iPhone ya fir tablet hona chahiye. Ya fir ek aisa mobile jisme Google Playstore open hota ho..

1. Sabse pahale Aap apne Mobile Me Playstore Open Kar Lijiye
2. Iske baad aap apne Playstore me se indycall app ko install kar lein. Is app ka logo niche dikhaya gya hai ki yah app kis type ki dikhai deti hai. Yah App puri tarah se free hai
    



Is app ko apne mobile me install karne ke baad aap aap ise open kar lein. Jab aap ise 1st time open karenge to ho sakta hai yah app open hone me 10-15 seconds le sakti hai. Iske baad aapke samne welcome message aayega. Iske baad aap OK par click karke is app me enter kar jaenge. Ab aap jab chahe jise chahe call kar sakte hai. Yaad rahe ki is app ka server bahut jyada traffic hone ki vajah se busy rehta hai isliye pahli bar me shayd hi kisi ko call lge. Lekin yadi aap is app ka wakai me use karna chahte hai to kisi ko bhi call karne ke liye aapko km se km 5-6 bar try karna chahiye tabhi jaakar kisi ko call lgega. Yah App bilkul free hai.

Post a Comment

1 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.
  1. call से सम्बंधित और भी आर्टिकल लिखिए बहुत कुछ सिखने को मिला मैंने भी एक आर्टिकल लिखा था Jio Recharge Offer Kaise Check Kare

    ReplyDelete
Post a Comment
Our website uses cookies to enhance your experience. Learn More
Accept !